Kehna tum se hai, Tum apna khayal Rakhna,
Pooch lena mujhe, na mere liye
Dil me koi sawal rakhna
Main Yeh nahi kahta ki sab kuch yaad rakhna,
Jab hum mile the, bas Yaad wo din,
Wo ghadi aur wo saal rakhna,
Na sochna Kabhi ki Badal Jayenge Hum,
Hum khwab nahi ki aap ki aankhon se Nikal Jayenge
Zindagi jine ke bahane bahut se honge magar,
Yaad hume kuch yoon rakhna, ki aap ki honthon ki hansi me nazar hum aayen,
Agar Yakeen na ho to,
Mujhse meri Zindagi maang lo,
Bichha dena pyaar ki bahein,
Hans kar mar jayenge hum....
